jaltā  huā  jo  chhoḌ  gayā  taaq  par  mujhe
dekhā  na  is  ne  luuT  ke  pichhle  pahar  mujhe
vahshat  se  thā  navāznā  itnā  agar  mujhe
sahrā  diyā  hai  kyuuñ  faqat  āfāq  bhar  mujhe
maiñ  gūñjtā  thā  harf  meñ  Dhalne  se  peshtar
gherā  hai  ab  sukūt  ne  aurāq  par  mujhe
shām-o-sahar  kī  gardisheñ  bhī  dekhnī  to  haiñ
ab  chaak  se  utaar  mire  kūza-gar  mujhe
daryā-e-maug-ḳhez  bhī  jis  par  savār  thā
honā  paḌā  savār  usī  naav  par  mujhe
mujh  meñ  taḌap  rahā  hai  koī  chashma-e-sukūt
zarb-e-asā  se  dekh  kabhī  toḌ  kar  mujhe
pahuñchā  kidhar  yahāñ  na  zamīñ  hai  na  āsmāñ
ab  kaun  sī  masāfateñ  karnī  haiñ  sar  mujhe
the  ganj-e-be-qayās  tah-e-qulzum-e-vajūd
Duubā  jo  maiñ  to  mil  ga.e  la.al-o-guhar  mujhe
jo  lā  sake  na  taab  hī  mere  junūn  kī
is  dasht-e-kam-savād  meñ  dāḳhil  na  kar  mujhe
shāyad  haTā  hai  ġhaib  kā  parda  'rafīq-rāz'
aatā  hai  naḳhl-e-āb  pe  sho.ala  nazar  mujhe