ajiib  ḳhāmushī  hai  ġhul  machātī  rahtī  hai
ye  āsmān  hī  sar  par  uThātī  rahtī  hai
kiyā  hai  ishq  to  sābit-qadam  bhī  rahnā  siikh
miyāñ  ye  hijr  kī  aafat  to  aatī  rahtī  hai
ye  jo  hai  aaj  ḳharāba  kabhī  chaman  thā  kyā
yahāñ  to  ek  magas  bhinbhinātī  rahtī  hai
Daro  nahīñ  ye  koī  saañp  zer-e-kāh  nahīñ
havā  hai  aur  vahī  sarsarātī  rahtī  hai
mire  hī  vāste  manzar  zuhūr  karte  haiñ
mirī  hī  aañkh  yahāñ  jagmagātī  rahtī  hai
havā  agarche  bahut  tez  hai  magar  phir  bhī
maiñ  ḳhaak  huuñ  ye  mire  kaam  aatī  rahtī  hai
ye  kaisī  chashm-e-taḳhayyul  hai  ūñghtī  bhī  nahīñ
ajiib  rañg  ke  manzar  banātī  rahtī  hai
vo  ik  nigāh  bhī  neze  se  kam  nahīñ  ya.anī
hamāre  ḳhūn-e-jigar  meñ  nahātī  rahtī  hai
qadam  bhī  ḳhaak  pe  karte  haiñ  kuchh  na  kuchh  tahrīr
havā  kī  mauj  bhī  us  ko  miTātī  rahtī  hai