khīñch  laa.ī  thī  mujhe  ḳhushbū  hī  tere  pairahan  kī
par  tirī  āñkhoñ  meñ  hai  vahshat  bhī  āhū-e-ḳhutan  kī
ishq  kī  ātish  kahāñ  bārūd  ke  sho.ale  haiñ  raqsāñ
ab  kahāñ  vo  zulf  aur  vo  dāstāñ  dār-o-rasan  kī
kyā  hue  vo  din  ki  jab  aksar  mayassar  thī  mujhe  bhī
din  ko  zulmat  zulf  kī  aur  dhuup  shab  ko  sīm-tan  kī
ātish-e-furqat  se  maiñ  shab  ko  ujālā  māñgtā  huuñ
ishq  meñ  hotī  nahīñ  hai  had  koī  dīvāne-pan  kī
raushnī  jis  kī  mirī  āñkhoñ  ko  ḳhīra  kar  chukī  hai
raakh  kar  ke  chhoḌ  degī  ab  harārat  is  badan  kī
dekh  ke  raste  ke  manzar  sab  ke  sab  the  ġharq-e-hairat
yaad  aise  meñ  bhalā  aatī  kise  apne  vatan  kī