chand  harfoñ  ne  bahut  shor  machā  rakkhā  hai
ya.anī  kāġhaz  pe  koī  hashr  uThā  rakkhā  hai
mujh  ko  to  apne  sivā  kuchh  nazar  aatā  hī  nahīñ
maiñ  ne  dīvāroñ  ko  ā.īna  banā  rakkhā  hai
aap  ke  paañv  tale  se  bhī  khisaktī  hai  zamīñ
aap  ne  kyuuñ  ye  falak  sar  pe  uThā  rakkhā  hai
mus.haf-e-zāt  kī  tafsīr  hai  ye  gahrī  chup
chup  hī  ma.anī  hai  miyāñ  harf  meñ  kyā  rakkhā  hai
mujh  pe  to  bhārī  nahīñ  koī  shab-e-hijr  mujhe
zaḳhmoñ  ne  sarv  charāġhacharān  banā  rakkhā  hai
merā  har  kaam  qayāmat  hī  uThā  detā  hai
tū  ne  har  kaam  qayāmat  pe  uThā  rakkhā  hai
gulshan-e-dil  abhī  shādāb  hai  pazhmurda  nahīñ
mausam-e-ġham  ne  use  kitnā  harā  rakkhā  hai