tamām  rū-e-zamīñ  par  sukūt  chhāyā  thā
nuzūl  kaisī  qayāmat  kā  hone  vaalā  thā
yahāñ  to  aag  ugaltī  hai  ye  zamīñ  har  sū
vo  ek  abr  kā  paara  kahāñ  pe  barsā  thā
bas  ek  baar  huā  thā  vajūd  kā  ehsās
bas  ek  baar  darīche  se  us  ne  jhāñkā  thā
abhī  Dasā  na  gayā  thā  ye  jism  taptā  huā
abhī  ḳhazīna-e-maḳhfī  pe  saañp  soyā  thā
safar  meñ  sar  pe  tirī  dhun  to  thī  savār  magar
nigāh  meñ  koī  manzil  na  koī  rasta  thā
ye  qatra  bahr-e-ma.ānī  hai  maujzan  jis  meñ
qalam  kī  nok  se  pahle  kabhī  na  Tapkā  thā