Rafiq Raaz

chandni raat mein ek bar use dekha tha

Rafiq Raaz

1954

chāndnī raat meñ ik baar use dekhā thā

chāñd se bar-sar-e-paikār use dekhā thā

misl-e-ḳhurshīd numūdār vo ab tak na huā

āḳhirī baar sar-e-ġhār use dekhā thā

maiñ bhalā kaise bayāñ kartā sarāpā us

shab-e-yaldā pas-e-dīvār use dekhā thā

dil meñ utrī na thī raushnī us manzar

avvalīñ baar to bekār use dekhā thā

log kyuuñ koh o bayābāñ meñ use DhūñDte haiñ

maiñ ne to bar-sar-e-bāzār use dekhā thā

us ne kyā raat ko dekhā thā ye mālūm nahīñ

maiñ ne to naqsh-ba-dīvār use dekhā thā

us āñkhoñ meñ chamak ḳhvāb ye kaisī hai

raat bhar charḳh ne bedār use dekhā thā

Top Urdushayar.com