sehr  kaisā  ye  na.ī  rut  ne  kiyā  dhartī  par
muddatoñ  baad  koī  phuul  khilā  dhartī  par
jaane  is  kurra-e-tārīk  meñ  hai  nuur  kahāñ
jaane  kis  aañkh  meñ  hai  ḳhvāb  tirā  dhartī  par
āsmānoñ  se  ḳhamoshī  bhī  kabhī  nāzil  kar
roz  karte  ho  nayā  hashr  bapā  dhartī  par
āsmānoñ  meñ  ulajhte  ho  siyah  abr  se  kyuuñ
aa  faqīroñ  kī  tarah  ḳhaak  uḌā  dhartī  par
ab  bhī  hiltā  hai  mirā  naḳhl-e-badan  sar-tā-pā
ab  bhī  chaltī  hai  havasnāk  havā  dhartī  par
koī  āvāz  kahīñ  se  bhī  nahīñ  aatī  hai
qāf-tā-qāf  hai  kaisā  ye  ḳhalā  dhartī  par
ab  bhī  vābasta  haiñ  ummīdeñ  tumhīñ  se  ham  ko
ab  bhī  hotī  hai  tirī  hamd  o  sanā  dhartī  par
hijr  kī  zard  havā  yūñhī  agar  chaltī  rahe
ek  bhī  peḌ  rahegā  na  harā  dhartī  par