ai  havā-e-dayār-e-dard-o-malāl
marhabā  marhabā  ta.aal  ta.aal
lafz  gum-sum  haiñ  aur  in  meñ  hai  ġham
merī  ḳhāmoshiyoñ  kā  jāh-o-jalāl
aql  se  kasb-eأraushnī  kar  ke
mulk-e-dil  ho  gayā  hai  rū-ba-zavāl
tū  bhī  us  meñ  hai  terī  duniyā  bhī
kitnā  gahrā  hai  soch  kā  pātāl
pakkī  saḌkoñ  pe  yaad  aatā  hai
kachche  rastoñ  kā  sabza-e-pāmāl
kis  pe  ab  hai  chīnār  kā  saaya
iiñ  jīrānanā-o-kaifal-hāl
khol  dīvān-e-hāfiz-e-shīrāz
faal  tū  ab  rafīq-e-rāz  nikāl