rañgoñ  se  ThanDe  paanī  ke  chashme  banā  diye
kāġhaz  pe  sāya-dār  shajar  bhī  lagā  diye
lā.ūñgā  ab  kahāñ  se  nazāre  kī  taab  maiñ
us  ne  to  merī  aañkh  se  parde  haTā  diye
bāġh-e-hurūf-o-gulshan-e-ma.anī  meñ  dekhnā
kis  ne  ye  ḳhāmushī  ke  na.e  gul  khilā  diye
chhoTe  se  abr  paare  ne  aa  ke  sar-e-falak
ahl-e-nazar  ko  din  Dhale  paiġhām  kyā  diye
bas  ham  to  ek  chhoTī  sī  zid  pe  aḌe  rahe
dastār  ko  bachāne  meñ  sar  hī  kaTā  diye
āñkhoñ  meñ  rah  ga.e  haiñ  faqat  aas  ke  sarāb
dariyā  vo  yaas  ke  the  jo  un  meñ  bahā  diye
din  ko  safar  kuchh  aur  bhī  āsān  ho  gayā
rātoñ  ko  sabz  ḳhvāb  ye  kis  ne  dikhā  diye
tartīb  se  liye  haiñ  tumhāre  tamām  naam
ik  aur  hī  falak  pe  sitāre  sajā  diye
tūfāñ  kā  ruup  dhaar  liyā  tez  saañs  ne
itnā  ki  ḳhvāb-gāh  ke  parde  hilā  diye