Aashufta Changezi

guzar gae hain jo mausam kabhi na aaenge

Aashufta Changezi

1956

guzar ga.e haiñ jo mausam kabhī na ā.eñge

tamām dariyā kisī roz Duub jā.eñge

safar to pahle bhī kitne kiye magar is baar

ye lag rahā hai ki tujh ko bhī bhuul jā.eñge

alaav ThanDe haiñ logoñ ne jāgnā chhoḌā

kahānī saath hai lekin kise sunā.eñge

sunā hai aage kahīñ samteñ bāñTī jaatī haiñ

tum apnī raah chuno saath chal na pā.eñge

duā.eñ loriyāñ maaoñ ke paas chhoḌ aa.e

bas ek niiñd bachī hai ḳharīd lā.eñge

zarūr tujh bhī hogā koī zamāne meñ

kahāñ talak tirī yādoñ se lagā.eñge

Top Urdushayar.com