silsila  ab  bhī  ḳhvāboñ  kā  TuuTā  nahīñ
kuuch  kar  jaa.eñ  kab  kuchh  bharosā  nahīñ
haiñ  fasīloñ  se  uljhe  hue  sar-phire
duur  tak  koī  shahr-e-tamannā  nahīñ
shaam  se  hī  gharoñ  meñ  paḌīñ  kunDiyāñ
chāñd  is  shahr  meñ  kyuuñ  nikaltā  nahīñ
aag  lagne  kī  ḳhabreñ  to  pahuñchīñ  magar
koī  hairat  nahīñ  koī  chauñkā  nahīñ
chhīn  kar  mujh  se  le  jaa.e  merā  badan
mo'tabar  itnā  koī  añdherā  nahīñ
kyā  yahī  milte  rahne  kā  in.aam  hai
ek  khiḌkī  nahīñ  ik  jharokā  nahīñ
ek  manzar  meñ  lipTe  badan  ke  sivā
sard  rātoñ  meñ  kuchh  aur  dikhtā  nahīñ
tez  ho  jaa.eñ  is  kā  to  imkān  hai
āñdhiyāñ  ab  rukeñ  aisā  lagtā  nahīñ