koī  ġhul  huā  thā  na  shor-e-ḳhizāñ
ujaḌne  lagīñ  ḳhud-ba-ḳhud  bastiyāñ
jise  dekhne  ghar  se  nikle  the  ham
dhuāñ  ho  gayā  shaam  kā  vo  samāñ
sabhī  kuchh  to  dariyā  bahā  le  gayā
tujhe  aur  kyā  chāhiye  āsmāñ
bas  ik  dhund  hai  aur  kuchh  bhī  nahīñ
ravāna  huī  thiiñ  jidhar  kashtiyāñ
abhī  tai-shuda  koī  jaada  nahīñ
abhī  tak  bhaTakte  haiñ  sab  kārvāñ
yahī  ik  ḳhabar  garm  thī  shahr  meñ
ki  ik  shoḳh  bachche  ne  khīñchī  kamāñ
tamāshā  dikhā  ke  ga.ī  sub.h-e-nau
ḳhamoshī  hai  phir  se  vahī  darmiyāñ
ta.āruf  mirā  koī  mushkil  nahīñ
maiñ  'āshufta'  chañgezī  ibn-e-ḳhizāñ