jab  ba-taqrīb-e-safar  yaar  ne  mahmil  bāñdhā
tapish-e-shauq  ne  har  zarre  pe  ik  dil  bāñdhā
ahl-e-bīnash  ne  ba-hairat-kada-e-shoḳhi-e-nāz
jauhar-e-ā.ina  ko  tūti-e-bismil  bāñdhā
yaas  o  ummīd  ne  yak-arbada  maidāñ  māñgā
ijz-e-himmat  ne  tilism-e-dil-e-sā.il  bāñdhā
na  bañdhe  tishnagi-e-zauq  ke  mazmūñ  'ġhālib'
garche  dil  khol  ke  dariyā  ko  bhī  sāhil  bāñdhā
istilāhāt-e-asīrān-e-taġhāful  mat  pūchh
jo  girah  aap  na  kholī  use  mushkil  bāñdhā
yaar  ne  tishnagī-e-shauq  ke  mazmūñ  chāhe
ham  ne  dil  khol  ke  dariyā  ko  bhī  sāhil  bāñdhā
tapish-e-ā.īna  parvāz-e-tamannā  laa.ī
nāma-e-shauq  ba-hāl-e-dil-e-bismil  bāñdhā
diida  tā-dil  hai  yāk-ā.īna  charāġhāñ  kis  ne
ḳhalvat-e-nāz  pe  pairāya-e-mahfil  bāñdhā
nā-umīdī  ne  ba-taqrīb-e-mazāmīn-e-ḳhumār
kūcha-e-mauj  ko  ḳhamyāza-e-sāhil  bāñdhā
mutrib-e-dil  ne  mire  tār-e-nafas  se  'ġhālib'
saaz  par  rishta  pa.e  naġhma-e-'bedil'  bāñdhā