tū  dost  kasū  kā  bhī  sitamgar  na  huā  thā
auroñ  pe  hai  vo  zulm  ki  mujh  par  na  huā  thā
chhoḌā  mah-e-naḳhshab  kī  tarah  dast-e-qazā  ne
ḳhurshīd  hunūz  us  ke  barābar  na  huā  thā
taufīq  ba-andāza-e-himmat  hai  azal  se
āñkhoñ  meñ  hai  vo  qatra  ki  gauhar  na  huā  thā
jab  tak  ki  na  dekhā  thā  qad-e-yār  kā  aalam
maiñ  mo'taqid-e-fitna-e-mahshar  na  huā  thā
maiñ  sāda-dil  āzurdagi-e-yār  se  ḳhush  huuñ
ya.anī  sabaq-e-shauq  mukarrar  na  huā  thā
dariyā-e-ma.āsī  tunuk-ābī  se  huā  ḳhushk
merā  sar-e-dāman  bhī  abhī  tar  na  huā  thā
jaarī  thī  'asad'  dāġh-e-jigar  se  mirī  tahsīl
ātish-kada  jāgīr-e-samundar  na  huā  thā