tapish  se  merī  vaqf-e-kashmakash  har  tār-e-bistar  hai
mirā  sar  rañj-e-bālīñ  hai  mirā  tan  bār-e-bistar  hai
sarishk-e-sar  ba-sahrā  daada  nūr-ul-ain-e-dāman  hai
dil-e-be-dast-o-pā  uftāda  bar-ḳhurdār-e-bistar  hai
ḳhushā  iqbāl-e-rañjūrī  ayādat  ko  tum  aa.e  ho
faroġh-e-sham-e-bālīñ  tāla-e-bedār-e-bistar  hai
ba-tūfāñ-gāh-e-josh-e-iztirāb-e-shām-e-tanhā.ī
shuā-e-āftāb-e-sub.h-e-mahshar  tār-e-bistar  hai
abhī  aatī  hai  bū  bālish  se  us  kī  zulf-e-mushkīñ  kī
hamārī  diid  ko  ḳhvāb-e-zuleḳhā  ār-e-bistar  hai
kahūñ  kyā  dil  kī  kyā  hālat  hai  hijr-e-yār  meñ  ġhālib
ki  betābī  se  har-yak  tār-e-bistar  ḳhār-e-bistar  hai