Mirza Ghalib

hasil se hath dho baiTh ai aarzu-KHirami

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869

hāsil se haath dho baiTh ai ārzū-ḳhirāmī

dil josh-e-girya meñ hai Duubī huī asāmī

us sham.a tarah se jis ko koī bujhā de

maiñ bhī jale-huoñ meñ huuñ dāġh-e-nā-tamāmī

karte ho shikva kis tum aur bevafā.ī

sar pīTte haiñ apnā ham aur nek-nāmī

sad-rañg-e-gul katarnā dar-parda qatl karnā

teġh-e-adā nahīñ hai pāband-e-be-niyāmī

tarf-e-suḳhan nahīñ hai mujh se ḳhudā-na-karda

hai nāma-bar ko us se dāvā-e-ham-kalāmī

tāqat fasāna-e-bād andesha sho.ala-ījād

ai ġham hunūz ātish ai dil hunūz ḳhāmī

har chand umr guzrī āzurdagī meñ lekin

hai sharh-e-shauq ko bhī juuñ shikva nā-tamāmī

hai yaas meñ 'asad' ko saaqī se bhī farāġhat

dariyā se ḳhushk guzre mastoñ tishna-kāmī

Top Urdushayar.com