nahīñ  ki  mujh  ko  qayāmat  kā  e'tiqād  nahīñ
shab-e-firāq  se  roz-e-jazā  ziyād  nahīñ
koī  kahe  ki  shab-e-mah  meñ  kyā  burā.ī  hai
balā  se  aaj  agar  din  ko  abr  o  baad  nahīñ
jo  aa.uuñ  sāmne  un  ke  to  marhabā  na  kaheñ
jo  jā.ūñ  vaañ  se  kahīñ  ko  to  ḳhair-bād  nahīñ
kabhī  jo  yaad  bhī  aatā  huuñ  maiñ  to  kahte  haiñ
ki  aaj  bazm  meñ  kuchh  fitna-o-fasād  nahīñ
alāva  iid  ke  miltī  hai  aur  din  bhī  sharāb
gadā-e-kūcha-e-mai-ḳhāna  nā-murād  nahīñ
jahāñ  meñ  ho  ġham-e-shādī  baham  hameñ  kyā  kaam
diyā  hai  ham  ko  ḳhudā  ne  vo  dil  kī  shaad  nahīñ
tum  un  ke  va.ade  kā  zikr  un  se  kyuuñ  karo  'ġhālib'
ye  kyā  ki  tum  kaho  aur  vo  kaheñ  ki  yaad  nahīñ