nikohish  hai  sazā  fariyādi-e-be-dād-e-dilbar  kī
mabādā  ḳhanda-e-dandāñ-numā  ho  sub.h  mahshar  kī
rag-e-lailā  ko  ḳhāk-e-dasht-e-majnūñ  reshgī  baḳhshe
agar  bove  bajā-e-dāna  dahqāñ  nok  nishtar  kī
par-e-parvāna  shāyad  bādbān-e-kashtī-e-mai  thā
huī  majlis  kī  garmī  se  ravānī  daur-e-sāġhar  kī
karūñ  be-dād-e-zauq-e-par-fishānī  arz  kyā  qudrat
ki  tāqat  uḌ  ga.ī  uḌne  se  pahle  mere  shahpar  kī
kahāñ  tak  ro.uuñ  us  ke  ḳheme  ke  pīchhe  qayāmat  hai
mirī  qismat  meñ  yā-rab  kyā  na  thī  dīvār  patthar  kī
ba-juz  dīvāngī  hotā  na  anjām-e-ḳhud-ārā.ī
agar  paidā  na  kartā  aa.ina  zanjīr  jauhar  kī
ġhurūr-e-lutf-e-sāqī  nashsha-e-be-bākī-e-mastāñ
nam-e-dāmān-e-isyāñ  hai  tarāvat  mauj-e-kausar  kī
mirā  dil  māñgte  haiñ  āriyat  ahl-e-havas  shāyad
ye  jaanā  chāhte  haiñ  aaj  dāvat  meñ  samundar  kī
'asad'  juz  āb-e-baḳhshīdan  ze-dariyā  ḳhizr  ko  kyā  thā
Dubotā  chashma-e-haivāñ  meñ  gar  kashtī  sikandar  kī