masjid  ke  zer-e-sāya  ḳharābāt  chāhiye
bhauñ  paas  aañkh  qibla-e-hājāt  chāhiye
āshiq  hue  haiñ  aap  bhī  ek  aur  shaḳhs  par
āḳhir  sitam  kī  kuchh  to  mukāfāt  chāhiye
de  daad  ai  falak  dil-e-hasrat-parast  kī
haañ  kuchh  na  kuchh  talāfī-e-māfāt  chāhiye
sīkhe  haiñ  mah-ruḳhoñ  ke  liye  ham  musavvarī
taqrīb  kuchh  to  bahr-e-mulāqāt  chāhiye
mai  se  ġharaz  nashāt  hai  kis  rū-siyāh  ko
ik-gūna  be-ḳhudī  mujhe  din  raat  chāhiye
nashv-o-numā  hai  asl  se  'ġhālib'  furūa  ko
ḳhāmoshī  hī  se  nikle  hai  jo  baat  chāhiye
hai  rañg-e-lāla-o-gul-o-nasrīñ  judā  judā
har  rañg  meñ  bahār  kā  isbāt  chāhiye
sar  pā-e-ḳhum  pe  chāhiye  hañgām-e-be-ḳhudī
rū  sū-e-qibla  vaqt-e-munājāt  chāhiye
ya.anī  ba-hasb-e-gardish-e-paimāna-e-sifāt
aarif  hamesha  mast-e-mai-e-zāt  chāhiye