bas-ki  dushvār  hai  har  kaam  kā  āsāñ  honā
aadmī  ko  bhī  mayassar  nahīñ  insāñ  honā
girya  chāhe  hai  ḳharābī  mire  kāshāne  kī
dar  o  dīvār  se  Tapke  hai  bayābāñ  honā
vā-e-dīvāngi-e-shauq  ki  har  dam  mujh  ko
aap  jaanā  udhar  aur  aap  hī  hairāñ  honā
jalva  az-bas-ki  taqāzā-e-nigah  kartā  hai
jauhar-e-ā.ina  bhī  chāhe  hai  mizhgāñ  honā
ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannā  mat  pūchh
īd-e-nazzāra  hai  shamshīr  kā  uryāñ  honā
le  ga.e  ḳhaak  meñ  ham  dāġh-e-tamannā-e-nashāt
tū  ho  aur  aap  ba-sad-rañg-e-gulistāñ  honā
ishrat-e-pāra-e-dil  zaḳhm-e-tamannā  khānā
lazzat-e-rīsh-e-jigar  ġharq-e-namak-dāñ  honā
kī  mire  qatl  ke  ba.ad  us  ne  jafā  se  tauba
haa.e  us  zūd-pashīmāñ  kā  pashemāñ  honā
haif  us  chaar  girah  kapḌe  kī  qismat  'ġhālib'
jis  kī  qismat  meñ  ho  āshiq  kā  garebāñ  honā