ā.īna  kyuuñ  na  duuñ  ki  tamāshā  kaheñ  jise
aisā  kahāñ  se  lā.ūñ  ki  tujh  sā  kaheñ  jise
hasrat  ne  lā  rakhā  tirī  bazm-e-ḳhayāl  meñ
gul-dasta-e-nigāh  suvaidā  kaheñ  jise
phūñkā  hai  kis  ne  gosh-e-mohabbat  meñ  ai  ḳhudā
afsūn-e-intizār  tamannā  kaheñ  jise
sar  par  hujūm-e-dard-e-ġharībī  se  Dāliye
vo  ek  musht-e-ḳhāk  ki  sahrā  kaheñ  jise
hai  chashm-e-tar  meñ  hasrat-e-dīdār  se  nihāñ
shauq-e-ināñ  guseḳhta  dariyā  kaheñ  jise
darkār  hai  shaguftan-e-gul-hā-e-aish  ko
sub.h-e-bahār  pumba-e-mīnā  kaheñ  jise
'ġhālib'  burā  na  maan  jo  vaa.iz  burā  kahe
aisā  bhī  koī  hai  ki  sab  achchhā  kaheñ  jise
yā  rab  hameñ  to  ḳhvāb  meñ  bhī  mat  dikhā.iyo
ye  mahshar-e-ḳhayāl  ki  duniyā  kaheñ  jise
hai  intizār  se  sharar  ābād  rustaḳhez
mizhgān-e-koh-kan  rag-e-ḳhārā  kaheñ  jise
kis  fursat-e-visāl  pe  hai  gul  ko  andalīb
zaḳhm-e-firāq  ḳhanda-e-be-jā  kaheñ  jise