dahr  meñ  naqsh-e-vafā  vaj.h-e-tasallī  na  huā
hai  ye  vo  lafz  ki  sharminda-e-ma.anī  na  huā
sabza-e-ḳhat  se  tirā  kākul-e-sarkash  na  dabā
ye  zamurrad  bhī  harīf-e-dam-e-af.ī  na  huā
maiñ  ne  chāhā  thā  ki  andoh-e-vafā  se  chhūTūñ
vo  sitamgar  mire  marne  pe  bhī  raazī  na  huā
dil  guzargāh-e-ḳhayāl-e-mai-o-sāġhar  hī  sahī
gar  nafas  jāda-e-sar-manzil-e-taqvī  na  huā
huuñ  tire  va.ada  na  karne  meñ  bhī  raazī  ki  kabhī
gosh  minnat-kash-e-gulbāñg-e-tasallī  na  huā
kis  se  mahrūmī-e-qismat  kī  shikāyat  kiije
ham  ne  chāhā  thā  ki  mar  jaa.eñ  so  vo  bhī  na  huā
mar  gayā  sadma-e-yak-jumbish-e-lab  se  'ġhālib'
nā-tavānī  se  harīf-e-dam-e-īsī  na  huā
na  huī  ham  se  raqam  hairat-e-ḳhatt-e-ruḳh-e-yār
safha-e.ā.ina  jaulāñ-gah-e-tūtī  na  huā
vus.at-e-rahmat-e-haq  dekh  ki  baḳhshā  jaave
mujh  sā  kāfir  ki  jo  mamnūn-e-ma.āsī  na  huā