chaak  kī  ḳhvāhish  agar  vahshat  ba-uryānī  kare
sub.h  ke  mānind  zaḳhm-e-dil  garebānī  kare
jalve  kā  tere  vo  aalam  hai  ki  gar  kiije  ḳhayāl
dīda-e-dil  ko  ziyārat-gāh-e-hairānī  kare
hai  shikastan  se  bhī  dil  naumīd  yā  rab  kab  talak
ābgīna  koh  par  arz-e-girāñ-jānī  kare
mai-kada  gar  chashm-e-mast-e-nāz  se  paave  shikast
mū-e-shīsha  dīda-e-sāġhar  kī  mizhgānī  kare
ḳhatt-e-āriz  se  likhā  hai  zulf  ko  ulfat  ne  ahd
yak-qalam  manzūr  hai  jo  kuchh  pareshānī  kare