harīf-e-matlab-e-mushkil  nahīñ  fusūn-e-niyāz
duā  qubūl  ho  yā  rab  ki  umr-e-ḳhizr  darāz
na  ho  ba-harzah  bayābāñ-navard-e-vahm-e-vajūd
hanūz  tere  tasavvur  meñ  hai  nasheb-o-farāz
visāl  jalva  tamāshā  hai  par  dimāġh  kahāñ
ki  diije  ā.ina-e-intizār  ko  pardāz
har  ek  zarra-e-āshiq  hai  āftāb-parast
ga.ī  na  ḳhaak  hue  par  havā-e-jalva-e-nāz
na  pūchh  vus.at-e-mai-ḳhāna-e-junūñ  'ġhālib'
jahāñ  ye  kāsa-e-gardūñ  hai  ek  ḳhāk-andāz
fareb-e-san.at-e-ījād  kā  tamāshā  dekh
nigāh  aks-farosh  o  ḳhayāl  ā.ina-sāz
zi-bas-ki  jalva-e-sayyād  hairat-ārā  hai
uḌī  hai  safha-e-ḳhātir  se  sūrat-e-parvāz
hujūm-e-fikr  se  dil  misl-e-mauj  larze  hai
ki  shīsha  nāzuk  o  sahbā-e-ābgīna-gudāz
'asad'  se  tark-e-vafā  kā  gumāñ  vo  ma.anī  hai
ki  khīñchiye  par-e-tā.ir  se  sūrat-e-parvāz
hanūz  ai  asar-e-dīd  nañg-e-rusvā.ī
nigāh  fitna-ḳhirām  o  dar-e-do-ālam  baaz