rahā  gar  koī  tā-qayāmat  salāmat
phir  ik  roz  marnā  hai  hazrat-salāmat
jigar  ko  mire  ishq-e-ḳhūñ-nāba-mashrab
likhe  hai  ḳhudāvand-e-nemat  salāmat
alarraġhm-e-dushamn  shahīd-e-vafā  huuñ
mubārak  mubārak  salāmat  salāmat
nahīñ  gar  sar-o-barg-e-idrāk-e-ma.anī
tamāshā-e-nairañg-e-sūrat  salāmat
do-ālam  kī  hastī  pe  ḳhatt-e-fanā  khīñch
dil-o-dast-e-arbāb-e-himmat  salāmat
nahīñ  gar  ba-kām-e-dil-e-ḳhasta  gardūñ
jigar-ḳhāī-e-josh-e-hasrat  salāmat
na  auroñ  kī  suntā  na  kahtā  huuñ  apnī
sar-e-ḳhasta  dushvār-e-vahshat  salāmat
vafūr-e-balā  hai  hujūm-e-vafā  hai
salāmat  malāmat  malāmat  salāmat
na  fikr-e-salāmat  na  bīm-e-malāmat
ze-ḳhud-raftagī-hā-e-hairat  salāmat
rahe  'ġhālib'-e-ḳhasta  maġhlūb-e-gardūñ
ye  kyā  be-niyāzī  hai  hazrat-salāmat