dīvāngī  se  dosh  pe  zunnār  bhī  nahīñ
ya.anī  hamāre  jeb  meñ  ik  taar  bhī  nahīñ
dil  ko  niyāz-e-hasrat-e-dīdār  kar  chuke
dekhā  to  ham  meñ  tāqat-e-dīdār  bhī  nahīñ
milnā  tirā  agar  nahīñ  āsāñ  to  sahl  hai
dushvār  to  yahī  hai  ki  dushvār  bhī  nahīñ
be-ishq  umr  kaT  nahīñ  saktī  hai  aur  yaañ
tāqat  ba-qadr-e-lazzat-e-āzār  bhī  nahīñ
shorīdgī  ke  haath  se  hai  sar  vabāl-e-dosh
sahrā  meñ  ai  ḳhudā  koī  dīvār  bhī  nahīñ
gunjā.ish-e-adāvat-e-aġhyār  yak  taraf
yaañ  dil  meñ  zo.af  se  havas-e-yār  bhī  nahīñ
Dar  nāla-hā-e-zār  se  mere  ḳhudā  ko  maan
āḳhir  navā-e-murġh-e-giraftār  bhī  nahīñ
dil  meñ  hai  yaar  kī  saf-e-mizhgāñ  se  rū-kashī
hālāñki  tāqat-e-ḳhalish-e-ḳhār  bhī  nahīñ
is  sādgī  pe  kaun  na  mar  jaa.e  ai  ḳhudā
laḌte  haiñ  aur  haath  meñ  talvār  bhī  nahīñ
dekhā  'asad'  ko  ḳhalvat-o-jalvat  meñ  bār-hā
dīvāna  gar  nahīñ  hai  to  hushyār  bhī  nahīñ