hai  bas-ki  har  ik  un  ke  ishāre  meñ  nishāñ  aur
karte  haiñ  mohabbat  to  guzartā  hai  gumāñ  aur
yā-rab  vo  na  samjhe  haiñ  na  samjheñge  mirī  baat
de  aur  dil  un  ko  jo  na  de  mujh  ko  zabāñ  aur
abrū  se  hai  kyā  us  nigah-e-nāz  ko  paivand
hai  tiir  muqarrar  magar  is  kī  hai  kamāñ  aur
tum  shahr  meñ  ho  to  hameñ  kyā  ġham  jab  uTheñge
le  ā.eñge  bāzār  se  jā  kar  dil  o  jaañ  aur
har  chand  subuk-dast  hue  but-shikanī  meñ
ham  haiñ  to  abhī  raah  meñ  hai  sañg-e-girāñ  aur
hai  ḳhūn-e-jigar  josh  meñ  dil  khol  ke  rotā
hote  jo  ka.ī  dīda-e-ḳhūñ-nāba-fishāñ  aur
martā  huuñ  is  āvāz  pe  har  chand  sar  uḌ  jaa.e
jallād  ko  lekin  vo  kahe  jaa.eñ  ki  haañ  aur
logoñ  ko  hai  ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb  kā  dhokā
har  roz  dikhātā  huuñ  maiñ  ik  dāġh-e-nihāñ  aur
letā  na  agar  dil  tumheñ  detā  koī  dam  chain
kartā  jo  na  martā  koī  din  āh-o-fuġhāñ  aur
paate  nahīñ  jab  raah  to  chaḌh  jaate  haiñ  naale
ruktī  hai  mirī  tab.a  to  hotī  hai  ravāñ  aur
haiñ  aur  bhī  duniyā  meñ  suḳhan-var  bahut  achchhe
kahte  haiñ  ki  'ġhālib'  kā  hai  andāz-e-bayāñ  aur