ruḳh-e-nigār  se  hai  soz-e-jāvidānī-e-sham.a
huī  hai  ātish-e-gul  āb-e-zindagānī-e-sham.a
zabān-e-ahl-e-zabāñ  meñ  hai  marg-e-ḳhāmoshī
ye  baat  bazm  meñ  raushan  huī  zabānī-e-sham.a
kare  hai  sarf  ba-īmā-e-sho.ala  qissa  tamām
ba-tarz-e-ahl-e-fanā  hai  fasāna-ḳhvānī-e-sham.a
ġham  us  ko  hasrat-e-parvāna  kā  hai  ai  sho.ale
tire  larazne  se  zāhir  hai  nā-tavānī-e-sham.a
tire  ḳhayāl  se  ruuh  ehtizāz  kartī  hai
ba-jalva-rezi-e-bād-o-ba-par-fishānī-e-sham.a
nashāt-e-dāġh-e-ġham-e-ishq  kī  bahār  na  pūchh
shaguftagī  hai  shahīd-e-gul-e-ḳhizānī-e-sham.a
jale  hai  dekh  ke  bālīn-e-yār  par  mujh  ko
na  kyuuñ  ho  dil  pe  mire  dāġh-e-bad-gumānī-e-sham.a