Mirza Ghalib

phir mujhe dida-e-tar yaad aaya

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
phir mujhe dīda-e-tar yaad aayā
dil jigar tishna-e-faryād aayā
dam liyā thā na qayāmat ne hanūz
phir tirā vaqt-e-safar yaad aayā
sādgī-hā-e-tamannā ya.anī
phir vo nairañg-e-nazar yaad aayā
uzr-e-vāmāndagī ai hasrat-e-dil
naala kartā thā jigar yaad aayā
zindagī yuuñ bhī guzar hī jaatī
kyuuñ tirā rāhguzar yaad aayā
kyā hī rizvāñ se laḌā.ī hogī
ghar tirā ḳhuld meñ gar yaad aayā
aah vo jur.at-e-fariyād kahāñ
dil se tañg aa ke jigar yaad aayā
phir tire kūche ko jaatā hai ḳhayāl
dil-e-gum-gashta magar yaad aayā
koī vīrānī sī vīrānī hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayā
maiñ ne majnūñ pe laḌakpan meñ 'asad'
sañg uThāyā thā ki sar yaad aayā
vasl meñ hijr kā Dar yaad aayā
ain jannat meñ saqar yaad aayā
Top Urdushayar.com