phir  mujhe  dīda-e-tar  yaad  aayā
dil  jigar  tishna-e-faryād  aayā
dam  liyā  thā  na  qayāmat  ne  hanūz
phir  tirā  vaqt-e-safar  yaad  aayā
sādgī-hā-e-tamannā  ya.anī
phir  vo  nairañg-e-nazar  yaad  aayā
uzr-e-vāmāndagī  ai  hasrat-e-dil
naala  kartā  thā  jigar  yaad  aayā
zindagī  yuuñ  bhī  guzar  hī  jaatī
kyuuñ  tirā  rāhguzar  yaad  aayā
kyā  hī  rizvāñ  se  laḌā.ī  hogī
ghar  tirā  ḳhuld  meñ  gar  yaad  aayā
aah  vo  jur.at-e-fariyād  kahāñ
dil  se  tañg  aa  ke  jigar  yaad  aayā
phir  tire  kūche  ko  jaatā  hai  ḳhayāl
dil-e-gum-gashta  magar  yaad  aayā
koī  vīrānī  sī  vīrānī  hai
dasht  ko  dekh  ke  ghar  yaad  aayā
maiñ  ne  majnūñ  pe  laḌakpan  meñ  'asad'
sañg  uThāyā  thā  ki  sar  yaad  aayā
vasl  meñ  hijr  kā  Dar  yaad  aayā
ain  jannat  meñ  saqar  yaad  aayā