arz-e-nāz-e-shoḳhi-e-dandāñ  barā.e-ḳhanda  hai
dāvā-e-jamiyat-e-ahbāb  jā-e-ḳhanda  hai
hai  adam  meñ  ġhuncha  mahv-e-ibrat-e-anjām-e-gul
yak-jahāñ  zaanū  ta.ammul  dar-qafā-e-ḳhanda  hai
kulfat-e-afsurdagī  ko  aish-e-betābī  harām
varna  dandāñ  dar  dil  afshurdan  binā-e-ḳhanda  hai
shorish-e-bātin  ke  haiñ  ahbāb  munkir  varna  yaañ
dil  muhīt-e-girya  o  lab  āshnā-e-ḳhanda  hai
ḳhud-faroshī-hā-e-hastī  bas-ki  jā-e-ḳhanda  hai
har  shikast-e-qīmat-e-dil  meñ  sadā-e-ḳhanda  hai
naqsh-e-ibrat  dar  nazar  yā  naqd-e-ishrat  dar  bisāt
do-jahāñ  vus.at  ba-qadr-e-yak-fa.zā-e-ḳhanda  hai
jā-e-istihzā  hai  ishrat-koshi-e-hastī  'asad'
sub.h  o  shabnam  fursat-e-nashv-o-numā-e-ḳhanda  hai