phir  huā  vaqt  ki  ho  bāl-kushā  mauj-e-sharāb
de  bat-e-mai  ko  dil-o-dast-e-shanā  mauj-e-sharāb
pūchh  mat  vaj.h-e-siyah-mastī-e-arbāb-e-chaman
sāya-e-tāk  meñ  hotī  hai  havā  mauj-e-sharāb
jo  huā  ġharqa-e-mai  baḳht-e-rasā  rakhtā  hai
sar  se  guzre  pe  bhī  hai  bāl-e-humā  mauj-e-sharāb
hai  ye  barsāt  vo  mausam  ki  ajab  kyā  hai  agar
mauj-e-hastī  ko  kare  faiz-e-havā  mauj-e-sharāb
chaar  mauj  uThtī  hai  tūfān-e-tarab  se  har  sū
mauj-e-gul  mauj-e-shafaq  mauj-e-sabā  mauj-e-sharāb
jis  qadar  rūh-e-nabātī  hai  jigar  tishna-e-nāz
de  hai  taskīñ  ba-dam-e-āb-e-baqā  mauj-e-sharāb
bas-ki  dauḌe  hai  rag-e-tāk  meñ  ḳhuuñ  ho  ho  kar
shahpar-e-rañg  se  hai  bāl-kushā  mauj-e-sharāb
mauja-e-gul  se  charāġhāñ  hai  guzar-gāh-e-ḳhayāl
hai  tasavvur  meñ  zi-bas  jalva-numā  mauj-e-sharāb
nashshe  ke  parde  meñ  hai  mahv-e-tamāshā-e-dimāġh
bas-ki  rakhtī  hai  sar-e-nash-o-numā  mauj-e-sharāb
ek  aalam  pe  haiñ  tūfāni-e-kaifiyat-e-fasl
mauja-e-sabza-e-nau-ḳhez  se  tā  mauj-e-sharāb
sharh-e-hañgāma-e-hastī  hai  zahe  mausam-e-gul
rah-bar-e-qatrā-ba-dariyā  hai  ḳhoshā  mauj-e-sharāb
hosh  uḌte  haiñ  mire  jalva-e-gul  dekh  'asad'
phir  huā  vaqt  ki  ho  bāl-kushā  mauj-e-sharāb