tum  apne  shikve  kī  bāteñ  na  khod  khod  ke  pūchho
hazar  karo  mire  dil  se  ki  is  meñ  aag  dabī  hai
dilā  ye  dard-o-alam  bhī  to  muġhtanim  hai  ki  āḳhir
na  girya-e-saharī  hai  na  āh-e-nīm-shabī  hai
nazar  ba-naqs-e-gadāyāñ  kamāl-e-be-adabī  hai
ki  ḳhār-e-ḳhushk  ko  bhī  dāvā-e-chaman-nasabī  hai
huā  visāl  se  shauq-e-dil-e-harīs  ziyāda
lab-e-qadah  pe  kaf-e-bāda  josh-e-tishna-labī  hai
ḳhushā  vo  dil  ki  sarāpā  tilism-e-be-ḳhabarī  ho
junūn  o  yaas  o  alam  rizq-e-mudda.ā-talabī  hai
chaman  meñ  kis  ke  ye  barham  hui  hai  bazm-e-tamāshā
ki  barg  barg-e-saman  shīsha  reza-e-halabī  hai
imām-e-zāhir-o-bātin  amīr-e-sūrat-o-ma.anī
'alī'  valī  asadullāh  jānashīn-e-nabī  hai