hazāroñ  ḳhvāhisheñ  aisī  ki  har  ḳhvāhish  pe  dam  nikle
bahut  nikle  mire  armān  lekin  phir  bhī  kam  nikle
Dare  kyuuñ  merā  qātil  kyā  rahegā  us  kī  gardan  par
vo  ḳhuuñ  jo  chashm-e-tar  se  umr  bhar  yuuñ  dam-ba-dam  nikle
nikalnā  ḳhuld  se  aadam  kā  sunte  aa.e  haiñ  lekin
bahut  be-ābrū  ho  kar  tire  kūche  se  ham  nikle
bharam  khul  jaa.e  zālim  tere  qāmat  kī  darāzī  kā
agar  is  turra-e-pur-pech-o-ḳham  kā  pech-o-ḳham  nikle
magar  likhvā.e  koī  us  ko  ḳhat  to  ham  se  likhvā.e
huī  sub.h  aur  ghar  se  kaan  par  rakh  kar  qalam  nikle
huī  is  daur  meñ  mansūb  mujh  se  bāda-ashāmī
phir  aayā  vo  zamāna  jo  jahāñ  meñ  jām-e-jam  nikle
huī  jin  se  tavaqqo  ḳhastagī  kī  daad  paane  kī
vo  ham  se  bhī  ziyāda  ḳhasta-e-teġh-e-sitam  nikle
mohabbat  meñ  nahīñ  hai  farq  jiine  aur  marne  kā
usī  ko  dekh  kar  jiite  haiñ  jis  kāfir  pe  dam  nikle
kahāñ  mai-ḳhāne  kā  darvāza  'ġhālib'  aur  kahāñ  vaa.iz
par  itnā  jānte  haiñ  kal  vo  jaatā  thā  ki  ham  nikle