har  ek  baat  pe  kahte  ho  tum  ki  tū  kyā  hai
tumhīñ  kaho  ki  ye  andāz-e-guftugū  kyā  hai
na  sho.ale  meñ  ye  karishma  na  barq  meñ  ye  adā
koī  batāo  ki  vo  shoḳh-e-tund-ḳhū  kyā  hai
ye  rashk  hai  ki  vo  hotā  hai  ham-suḳhan  tum  se
vagarna  ḳhauf-e-bad-āmozi-e-adū  kyā  hai
chipak  rahā  hai  badan  par  lahū  se  pairāhan
hamāre  jaib  ko  ab  hājat-e-rafū  kyā  hai
jalā  hai  jism  jahāñ  dil  bhī  jal  gayā  hogā
kuredte  ho  jo  ab  raakh  justujū  kyā  hai
ragoñ  meñ  dauḌte  phirne  ke  ham  nahīñ  qaa.il
jab  aañkh  hī  se  na  Tapkā  to  phir  lahū  kyā  hai
vo  chiiz  jis  ke  liye  ham  ko  ho  bahisht  aziiz
sivā.e  bāda-e-gulfām-e-mushk-bū  kyā  hai
piyūñ  sharāb  agar  ḳhum  bhī  dekh  luuñ  do-chār
ye  shīsha  o  qadah  o  kuuza  o  subū  kyā  hai
rahī  na  tāqat-e-guftār  aur  agar  ho  bhī
to  kis  umiid  pe  kahiye  ki  aarzū  kyā  hai
huā  hai  shah  kā  musāhib  phire  hai  itrātā
vagarna  shahr  meñ  'ġhālib'  kī  aabrū  kyā  hai