ohde  se  mad.h-e-nāz  ke  bāhar  na  aa  sakā
gar  ik  adā  ho  to  use  apnī  qazā  kahūñ
halqe  haiñ  chashm-hā-e-kushāda  ba-sū-e-dil
har  tār-e-zulf  ko  nigah-e-surma-sā  kahūñ
maiñ  aur  sad-hazār  navā-e-jigar-ḳharāsh
tū  aur  ek  vo  nā-shunīdan  ki  kyā  kahūñ
zālim  mire  gumāñ  se  mujhe  munfa.il  na  chaah
hai  hai  ḳhudā-na-karda  tujhe  bevafā  kahūñ