baaġh  pā  kar  ḳhafaqānī  ye  Darātā  hai  mujhe
sāya-e-shāḳh-e-gul  af.ī  nazar  aatā  hai  mujhe
jauhar-e-teġh  ba-sar-chashma-e-dīgar  mālūm
huuñ  maiñ  vo  sabza  ki  zahrāb  ugātā  hai  mujhe
mudda.ā  mahv-e-tamāshā-e-shikast-e-dil  hai
ā.ina-ḳhāna  meñ  koī  liye  jaatā  hai  mujhe
naala  sarmāya-e-yak-ālam  o  aalam  kaf-e-ḳhāk
āsmāñ  baiza-e-quamrī  nazar  aatā  hai  mujhe
zindagī  meñ  to  vo  mahfil  se  uThā  dete  the
dekhūñ  ab  mar  ga.e  par  kaun  uThātā  hai  mujhe
baaġh  tujh  bin  gul-e-nargis  se  Darātā  hai  mujhe
chāhūñ  gar  sair-e-chaman  aañkh  dikhātā  hai  mujhe
shor-e-timsāl  hai  kis  rashk-e-chaman  kā  yā  rab
aa.ina  baiza-e-bulbul  nazar  aatā  hai  mujhe
hairat-e-ā.ina  anjām-e-junūñ  huuñ  jyuuñ  sham.a
kis  qadar  dāġh-e-jigar  shola  uThātā  hai  mujhe
maiñ  huuñ  aur  hairat-e-jāved  magar  zauq-e-ḳhayāl
ba-fusūn-e-nigah-e-nāz  satātā  hai  mujhe
hairat-e-fikr-e-suḳhan  sāz-e-salāmat  hai  'asad'
dil  pas-e-zānū-e-ā.īna  biThātā  hai  mujhe