ham  par  jafā  se  tark-e-vafā  kā  gumāñ  nahīñ
ik  chheḌ  hai  vagarna  murād  imtihāñ  nahīñ
kis  muñh  se  shukr  kījiye  is  lutf-e-ḳhās  kā
pursish  hai  aur  pā-e-suḳhan  darmiyāñ  nahīñ
ham  ko  sitam  aziiz  sitamgar  ko  ham  aziiz
nā-mehrbāñ  nahīñ  hai  agar  mehrbāñ  nahīñ
bosa  nahīñ  na  dījiye  dushnām  hī  sahī
āḳhir  zabāñ  to  rakhte  ho  tum  gar  dahāñ  nahīñ
har-chand  jāñ-gudāzi-e-qahr-o-itāb  hai
har-chand  pusht-e-garmi-e-tāb-o-tavāñ  nahīñ
jaañ  mutrib-e-tarāna-e-hal-mim-mazīd  hai
lab  parda-sañj-e-zamzama-e-al-amāñ  nahīñ
ḳhanjar  se  chiir  siina  agar  dil  na  ho  do-nīm
dil  meñ  chhurī  chubho  mizha  gar  ḳhūñ-chakāñ  nahīñ
hai  nañg-e-sīnā  dil  agar  ātish-kada  na  ho
hai  ār-e-dil  nafas  agar  āzar-fishāñ  nahīñ
nuqsāñ  nahīñ  junūñ  meñ  balā  se  ho  ghar  ḳharāb
sau  gaz  zamīñ  ke  badle  bayābāñ  girāñ  nahīñ
kahte  ho  kyā  likhā  hai  tirī  sarnavisht  meñ
goyā  jabīñ  pe  sajda-e-but  kā  nishāñ  nahīñ
paatā  huuñ  us  se  daad  kuchh  apne  kalām  kī
rūhul-qudus  agarche  mirā  ham-zabāñ  nahīñ
jaañ  hai  bahā-e-bosa  vale  kyuuñ  kahe  abhī
'ġhālib'  ko  jāntā  hai  ki  vo  nīm-jāñ  nahīñ
jis  jā  ki  pā-e-sail-e-balā  darmiyāñ  nahīñ
dīvānagāñ  ko  vaañ  havas-e-ḳhānmāñ  nahīñ
gul  ġhunchagī  meñ  ġharqa-e-dariyā-e-rañg  hai
ai  āgahī  fareb-e-tamāshā  kahāñ  nahīñ
kis  jurm  se  hai  chashm  tujhe  hasrat  qubūl
barg-e-hinā  magar  mizha-e-ḳhūñ-fishāñ  nahīñ
har  rañg-e-gardish  aa.ina  ījād-e-dard  hai
ashk-e-sahāb  juz  ba-vidā-e-ḳhizāñ  nahīñ
juz  ijz  kyā  karūñ  ba-tamannā-e-be-ḳhudī
tāqat  harīf-e-saḳhtī-e-ḳhvāb-e-girāñ  nahīñ
ibrat  se  pūchh  dard-e-pareshānī-e-nigāh
ye  gard-e-vahm  juz  basar-e-imtihāñ  nahīñ
barq-e-ba-jān-e-hausla  ātish-fagan  'asad'
ai  dil-fasurda  tāqat-e-zabt-e-fuġhāñ  nahīñ