ġhair  leñ  mahfil  meñ  bose  jaam  ke
ham  raheñ  yuuñ  tishna-lab  paiġhām  ke
ḳhastagī  kā  tum  se  kyā  shikva  ki  ye
hathkanDe  haiñ  charḳh-e-nīlī-fām  ke
ḳhat  likheñge  garche  matlab  kuchh  na  ho
ham  to  āshiq  haiñ  tumhāre  naam  ke
raat  pī  zamzam  pe  mai  aur  sub.h-dam
dho.e  dhabbe  jāma-e-ehrām  ke
dil  ko  āñkhoñ  ne  phañsāyā  kyā  magar
ye  bhī  halqe  haiñ  tumhāre  daam  ke
shaah  ke  hai  ġhusl-e-sehhat  kī  ḳhabar
dekhiye  kab  din  phireñ  hammām  ke
ishq  ne  'ġhālib'  nikammā  kar  diyā
varna  ham  bhī  aadmī  the  kaam  ke