vārasta  us  se  haiñ  ki  mohabbat  hī  kyuuñ  na  ho
kiije  hamāre  saath  adāvat  hī  kyuuñ  na  ho
chhoḌā  na  mujh  meñ  zo.af  ne  rañg  iḳhtilāt  kā
hai  dil  pe  baar  naqsh-e-mohabbat  hī  kyuuñ  na  ho
hai  mujh  ko  tujh  se  tazkira-e-ġhair  kā  gila
har-chand  bar-sabīl-e-shikāyat  hī  kyuuñ  na  ho
paidā  huī  hai  kahte  haiñ  har  dard  kī  davā
yuuñ  ho  to  chāra-e-ġham-e-ulfat  hī  kyuuñ  na  ho
Daalā  na  be-kasī  ne  kisī  se  muāmla
apne  se  khīñchtā  huuñ  ḳhajālat  hī  kyuuñ  na  ho
hai  aadmī  bajā.e  ḳhud  ik  mahshar-e-ḳhayāl
ham  anjuman  samajhte  haiñ  ḳhalvat  hī  kyuuñ  na  ho
hañgāma-e-zabūni-e-himmat  hai  infi.āl
hāsil  na  kiije  dahr  se  ibrat  hī  kyuuñ  na  ho
vārastagī  bahāna-e-begāngī  nahīñ
apne  se  kar  na  ġhair  se  vahshat  hī  kyuuñ  na  ho
miTtā  hai  faut-e-fursat-e-hastī  kā  ġham  koī
umr-e-azīz  sarf-e-ibādat  hī  kyuuñ  na  ho
us  fitna-ḳhū  ke  dar  se  ab  uThte  nahīñ  'asad'
us  meñ  hamāre  sar  pe  qayāmat  hī  kyuuñ  na  ho