balā  se  haiñ  jo  ye  pesh-e-nazar  dar-o-dīvār
nigāh-e-shauq  ko  haiñ  bāl-o-par  dar-o-dīvār
vufūr-e-ashk  ne  kāshāne  kā  kiyā  ye  rañg
ki  ho  ga.e  mire  dīvār-o-dar  dar-o-dīvār
nahīñ  hai  saaya  ki  sun  kar  naved-e-maqdam-e-yār
ga.e  haiñ  chand  qadam  pesh-tar  dar-o-dīvār
huī  hai  kis  qadar  arzāni-e-mai-e-jalva
ki  mast  hai  tire  kūche  meñ  har  dar-o-dīvār
jo  hai  tujhe  sar-e-saudā-e-intizār  to  aa
ki  haiñ  dukān-e-matā-e-nazar  dar-o-dīvār
hujūm-e-girya  kā  sāmān  kab  kiyā  maiñ  ne
ki  gir  paḌe  na  mire  paañv  par  dar-o-dīvār
vo  aa  rahā  mire  ham-sā.e  meñ  to  saa.e  se
hue  fidā  dar-o-dīvār  par  dar-o-dīvār
nazar  meñ  khaTke  hai  bin  tere  ghar  kī  ābādī
hamesha  rote  haiñ  ham  dekh  kar  dar-o-dīvār
na  pūchh  be-ḳhudi-e-aish-e-maqdam-e-sailāb
ki  nāchte  haiñ  paḌe  sar-ba-sar  dar-o-dīvār
na  kah  kisī  se  ki  'ġhālib'  nahīñ  zamāne  meñ
harīf-e-rāz-e-mohabbat  magar  dar-o-dīvār