ibn-e-mariyam  huā  kare  koī
mere  dukh  kī  davā  kare  koī
shar.a  o  aa.iin  par  madār  sahī
aise  qātil  kā  kyā  kare  koī
chaal  jaise  kaḌī  kamān  kā  tiir
dil  meñ  aise  ke  jā  kare  koī
baat  par  vaañ  zabān  kaTtī  hai
vo  kaheñ  aur  sunā  kare  koī
bak  rahā  huuñ  junūñ  meñ  kyā  kyā  kuchh
kuchh  na  samjhe  ḳhudā  kare  koī
na  suno  gar  burā  kahe  koī
na  kaho  gar  burā  kare  koī
rok  lo  gar  ġhalat  chale  koī
baḳhsh  do  gar  ḳhatā  kare  koī
kaun  hai  jo  nahīñ  hai  hājat-mand
kis  kī  hājat  ravā  kare  koī
kyā  kiyā  ḳhizr  ne  sikandar  se
ab  kise  rahnumā  kare  koī
jab  tavaqqo.a  hī  uTh  ga.ī  'ġhālib'
kyuuñ  kisī  kā  gila  kare  koī