hai  ārmīdagī  meñ  nikohish  bajā  mujhe
sub.h-e-vatan  hai  ḳhanda-e-dandāñ-numā  mujhe
DhūñDe  hai  us  muġhanni-e-ātish-nafas  ko  jī
jis  kī  sadā  ho  jalva-e-barq-e-fanā  mujhe
mastāna  tai  karūñ  huuñ  rah-e-vādi-e-ḳhayāl
tā  bāz-gasht  se  na  rahe  mudda.ā  mujhe
kartā  hai  bas-ki  baaġh  meñ  tū  be-hijābiyāñ
aane  lagī  hai  nik.hat-e-gul  se  hayā  mujhe
khultā  kisī  pe  kyuuñ  mire  dil  kā  mo.āmla
sheroñ  ke  intiḳhāb  ne  rusvā  kiyā  mujhe
vaañ  rañg-hā  ba-parda-e-tadbīr  haiñ  hunūz
yaañ  shola-e-charāġh  hai  barg-e-hinā  mujhe
parvāz-hā  niyāz-e-tamāshā-e-husn-e-dost
bāl-e-kushāda  hai  nigah-e-āshnā  mujhe
az-ḳhud-guzashtagī  meñ  ḳhamoshī  pe  harf  hai
mauj-e-ġhubār-e-surma  huī  hai  sadā  mujhe
tā  chand  past  fitrati-e-tab-e-ārzū
yā  rab  mile  bulandī-e-dast-e-duā  mujhe
maiñ  ne  junūñ  se  kī  jo  'asad'  iltimās-e-rañg
ḳhūn-e-jigar  meñ  ek  hī  ġhota  diyā  mujhe
hai  pech-tāb  rishta-e-sham-e-sahar-gahī
ḳhajlat  gudāzī-e-nafas-e-nā-rasā  mujhe
yaañ  āb-o-dāna  mausam-e-gul  meñ  harām  hai
zunnār-e-vā-gusista  hai  mauj-e-sabā  mujhe
yakbār  imtihān-e-havas  bhī  zarūr  hai
ai  josh-e-ishq  bāda-e-mard-āzmā  mujhe