maze  jahān  ke  apnī  nazar  meñ  ḳhaak  nahīñ
sivā.e  ḳhūn-e-jigar  so  jigar  meñ  ḳhaak  nahīñ
magar  ġhubār  hue  par  havā  uḌā  le  jaa.e
vagarna  taab  o  tavāñ  bāl-o-par  meñ  ḳhaak  nahīñ
ye  kis  bahīsht-shamā.il  kī  aamad  aamad  hai
ki  ġhair-e-jalva-e-gul  rahguzar  meñ  ḳhaak  nahīñ
bhalā  use  na  sahī  kuchh  mujhī  ko  rahm  aatā
asar  mire  nafas-e-be-asar  meñ  ḳhaak  nahīñ
ḳhayāl-e-jalva-e-gul  se  ḳharāb  haiñ  mai-kash
sharāb-ḳhāne  ke  dīvār-o-dar  meñ  ḳhaak  nahīñ
huā  huuñ  ishq  kī  ġhārat-garī  se  sharminda
sivā.e  hasrat-e-tāmīr  ghar  meñ  ḳhaak  nahīñ
hamāre  sher  haiñ  ab  sirf  dil-lagī  ke  'asad'
khulā  ki  fā.eda  arz-e-hunar  meñ  ḳhaak  nahīñ