sīmāb-pusht  garmi-e-ā.īna  de  hai  ham
hairāñ  kiye  hue  haiñ  dil-e-be-qarār  ke
āġhosh-e-gul  kushūda  barā-e-vidā  hai
ai  andalīb  chal  ki  chale  din  bahār  ke
yuuñ  bād-e-zabt-e-ashk  phirūñ  gird  yaar  ke
paanī  piye  kisū  pe  koī  jaise  vaar  ke
bād-az-vidā-e-yār  ba-ḳhūñ  dar  tapīda  haiñ
naqsh-e-qadam  haiñ  ham  kaf-e-pā-e-nigār  ke
ham  mashq-e-fikr-e-vasl-o-ġham-e-hijr  se  'asad'
laa.eq  nahīñ  rahe  haiñ  ġham-e-rozgār  ke