satā.ish-gar  hai  zāhid  is  qadar  jis  bāġh-e-rizvāñ  kā
vo  ik  guldasta  hai  ham  be-ḳhudoñ  ke  tāq-e-nisyāñ  kā
bayāñ  kyā  kījiye  be-dād-e-kāvish-hā-e-mizhgāñ  kā
ki  har  yak  qatra-e-ḳhūñ  daana  hai  tasbīh-e-marjāñ  kā
na  aa.ī  satvat-e-qātil  bhī  maane  mere  nāloñ  ko
liyā  dāñtoñ  meñ  jo  tinkā  huā  resha  niyastāñ  kā
dikhā.ūñgā  tamāshā  dī  agar  fursat  zamāne  ne
mirā  har  dāġh-e-dil  ik  tuḳhm  hai  sarv-e-charāġhāñ  kā
kiyā  ā.īna-ḳhāne  kā  vo  naqsha  tere  jalve  ne
kare  jo  partav-e-ḳhurshīd  aalam  shabnamistāñ  kā
mirī  ta.amīr  meñ  muzmar  hai  ik  sūrat  ḳharābī  kī
hayūlā  barq-e-ḳhirman  kā  hai  ḳhūn-e-garm  dahqāñ  kā
ugā  hai  ghar  meñ  har  sū  sabza  vīrānī  tamāshā  kar
madār  ab  khodne  par  ghaas  ke  hai  mere  darbāñ  kā
ḳhamoshī  meñ  nihāñ  ḳhūñ-gashta  lākhoñ  ārzūeñ  haiñ
charāġh-e-murdā  huuñ  maiñ  be-zabāñ  gor-e-ġharībāñ  kā
hanūz  ik  partav-e-naqsh-e-ḳhayāl-e-yār  baaqī  hai
dil-e-afsurda  goyā  hujra  hai  yūsuf  ke  zindāñ  kā
baġhal  meñ  ġhair  kī  aaj  aap  sote  haiñ  kahīñ  varna
sabab  kyā  ḳhvāb  meñ  aa  kar  tabassum-hā-e-pinhāñ  kā
nahīñ  ma.alūm  kis  kis  kā  lahū  paanī  huā  hogā
qayāmat  hai  sarishk-ālūda  honā  terī  mizhgāñ  kā
nazar  meñ  hai  hamārī  jāda-e-rāh-e-fanā  'ġhālib'
ki  ye  shīrāza  hai  aalam  ke  ajzā-e-pareshāñ  kā