Mirza Ghalib

dard minnat-kash-e-dawa na hua

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869

dard minnat-kash-e-davā na huā

maiñ na achchhā huā burā na huā

jam.a karte ho kyuuñ raqīboñ ko

ik tamāshā huā gila na huā

ham kahāñ qismat āzmāne jaa.eñ

jab ḳhanjar-āzmā na huā

kitne shīrīñ haiñ tere lab ki raqīb

gāliyāñ khā ke be-mazā na huā

hai ḳhabar garm un ke aane

aaj ghar meñ boriyā na huā

kyā vo namrūd ḳhudā.ī thī

bandagī meñ mirā bhalā na huā

jaan huī usī thī

haq to yuuñ hai ki haq adā na huā

zaḳhm gar dab gayā lahū na thamā

kaam gar ruk gayā ravā na huā

rahzanī hai ki dil-sitānī hai

le ke dil dil-sitāñ ravāna huā

kuchh to paḌhiye ki log kahte haiñ

aaj 'ġhālib' ġhazal-sarā na huā

Top Urdushayar.com