raftār-e-umr  qat-e-rah-e-iztirāb  hai
is  saal  ke  hisāb  ko  barq  āftāb  hai
mīnā-e-mai  hai  sarv  nashāt-e-bahār  se
bāl-e-tadrrav  jalva-e-mauj-e-sharāb  hai
zaḳhmī  huā  hai  pāshna  pā-e-sabāt  kā
ne  bhāgne  kī  guuñ  na  iqāmat  kī  taab  hai
jādād-e-bāda-noshī-e-rindāñ  hai  shash-jihat
ġhāfil  gumāñ  kare  hai  ki  getī  ḳharāb  hai
nazzāra  kyā  harīf  ho  us  barq-e-husn  kā
josh-e-bahār  jalve  ko  jis  ke  naqāb  hai
maiñ  nā-murād  dil  kī  tasallī  ko  kyā  karūñ
maanā  ki  tere  ruḳh  se  nigah  kāmyāb  hai
guzrā  'asad'  masarrat-e-paiġhām-e-yār  se
qāsid  pe  mujh  ko  rashk-e-savāl-o-javāb  hai
zāhir  hai  tarz-e-qaid  se  sayyād  kī  ġharaz
jo  daana  daam  meñ  hai  so  ashk-e-kabāb  hai
be-chashm-e-dil  na  kar  havas-e-sair-e-lāla-zār
ya.anī  ye  har  varaq  varaq-e-intiḳhāb  hai