vo  aa  ke  ḳhvāb  meñ  taskīn-e-iztirāb  to  de
vale  mujhe  tapish-e-dil  majāl-e-ḳhvāb  to  de
kare  hai  qatl  lagāvaT  meñ  terā  ro  denā
tirī  tarah  koī  teġh-e-nigah  ko  aab  to  de
dikhā  ke  jumbish-e-lab  hī  tamām  kar  ham  ko
na  de  jo  bosa  to  muñh  se  kahīñ  javāb  to  de
pilā  de  ok  se  saaqī  jo  ham  se  nafrat  hai
piyāla  gar  nahīñ  detā  na  de  sharāb  to  de
'asad'  ḳhushī  se  mire  haath  paañv  phuul  ga.e
kahā  jo  us  ne  zarā  mere  paañv  daab  to  de
ye  kaun  kahve  hai  ābād  kar  hameñ  lekin
kabhī  zamāna  murād-e-dil-e-ḳharāb  to  de