dil  mirā  soz-e-nihāñ  se  be-muhābā  jal  gayā
ātish-e-ḳhāmosh  kī  mānind  goyā  jal  gayā
dil  meñ  zauq-e-vasl  o  yād-e-yār  tak  baaqī  nahīñ
aag  is  ghar  meñ  lagī  aisī  ki  jo  thā  jal  gayā
maiñ  adam  se  bhī  pare  huuñ  varna  ġhāfil  bār-hā
merī  āh-e-ātishīñ  se  bāl-e-unqā  jal  gayā
arz  kiije  jauhar-e-andesha  kī  garmī  kahāñ
kuchh  ḳhayāl  aayā  thā  vahshat  kā  ki  sahrā  jal  gayā
dil  nahīñ  tujh  ko  dikhātā  varna  dāġhoñ  kī  bahār
is  charāġhāñ  kā  karūñ  kyā  kār-farmā  jal  gayā
maiñ  huuñ  aur  afsurdagī  kī  aarzū  'ġhālib'  ki  dil
dekh  kar  tarz-e-tapāk-e-ahl-e-duniyā  jal  gayā
ḳhānmān-e-āshiqāñ  dūkān-e-ātish-bāz  hai
shola-rū  jab  ho  ga.e  garm-e-tamāshā  jal  gayā
tā  kujā  afsos-e-garmī-hā-e-sohbat  ai  ḳhayāl
dil  ba-soz-e-ātish-e-dāġh-e-tamannā  jal  gayā
hai  'asad'  begāna-e-afsurdagī  ai  bekasī
dil  z-andāz-e-tapāk-e-ahl-e-duniyā  jal  gayā
duud  merā  sumbulistāñ  se  kare  hai  ham-sarī
bas-ki  shauq-e-ātish-e-gul  se  sarāpā  jal  gayā
sham.a-rūyāñ  kī  sar-añgusht-e-hinā.ī  dekh  kar
ġhuncha-e-gul  par-fishāñ  parvāna-āsā  jal  gayā